-
サマリー
あらすじ・解説
1790 ke dauran, Bharat colonial rule ke under tha aur logon ke safar karne ke dauraan achanak gaayab hone ki khabarein ek ke baad ek aane lagi. English officers pareshan ho gaye the kyunki unhe in logon ke achanak gaayab hone ke case ko rokne mein koi safalta nahi mil rahi thi. Vyapar bhi prabhavit hua, kyunki vyapari safar karna band kar rahe the. Jo bhi Thug territory mein pravesh karta, kabhi wapas nahi aata. Yeh sab kuch paagalpan ki tarah tha aur English Sarkaar aur adhikari log kuch nahi kar paa rahe the. Captain William Sleeman ko Britain se bulaaya gaya aur unhe logon ke gaayab hone ke case ko solve karne ki zimmedaari di gayi. Rj Shashank ke saath Suniye Thug Behram ki poori kahani, jisne hatyayon ke mamle mein World Record bana diya tha.
Written by: Dhruv Lau
Bhojpuri adaptation by: Vinay Maurya
Audio Design by: Satish Chandra
Please send us your feedback on Instagram: @redfmpodcasts
or Mail: podcast@redfm.in
See omnystudio.com/listener for privacy information.