Daang (Hindi Edition)
カートのアイテムが多すぎます
カートに追加できませんでした。
ウィッシュリストに追加できませんでした。
ほしい物リストの削除に失敗しました。
ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
Audible会員プラン 無料体験
-
ナレーター:
-
Kumud Soney
-
著者:
-
Hariram Meena
このコンテンツについて
Rajasthan, Madhya Pradesh aur Uttar Pradesh ki seema ke pathaareele aur beehadh shetra ko ‘Daang’ ke naam se jaana jaata hai. Yahan ke daaku apne ko daaku nahin, balki baaghi kehte hai. Yahan aaj bhi striyon ki khareed-fharokth hoti hai, jabardast jaatigat sangharsh hai, kisaanon ki haalat dayneey hai aur atyant gareebi aur bhrastachaar hai. Aisi visham paristhithiyon mein thodi si bhi aarthik kathinaayi hone par kayi baar aam log daaku banne par vivash ho jaate hain. Inn sabka daang upanyaas mein sashakth chitran hai. Prasidh Chambal nadi ke ird-gird base shetron ke baare mein log kam hee jaante hain lekin lekhak Hariram Meena iss anchal se gujarte hain aur paathakon ke liye aisi kriti rachte hain jismein jeevan ke sabhi rangon ke saath maati ki Sugandh bhi basi hai.
Aadivaasi jeevan ke vishesyag aur dhooni tapey-teer jaise prasidh upanyaas ke lekhak Hairam Meena ki lambe arse se adhik pustakein prakaashit ho chuki hain, tatha kayi pustakein desh ke naami visva-vidhyalayon ke paathyakram mein shaamil hain. Aapke saahitya par 100 se adhik shodhadhri M.Phil. aur PhD. kar chuke hain. Saahitya mein yogdaan ke liye aapko ‘Dr. Ambedkar’ National award, Rajasthan Sahitya Academy ka sarvocch ‘Mera’ award, Central Hindi Scoiety dwara ‘Mahapandit Rahul Sankrityayan Samman’, Bidala Foundation ke ‘Bihari Purasakar’ tatha ‘Vishwa Hindi Samman’ se vibhushit kiya ja chukka hai.
Please note: This audiobook is in Hindi.
©2019 Hariram Meena (P)2020 Audible, Inc.