Yah Shahar Dhoop Ki Hai [The City Is Sunken]
カートのアイテムが多すぎます
カートに追加できませんでした。
ウィッシュリストに追加できませんでした。
ほしい物リストの削除に失敗しました。
ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
Audible会員プラン 無料体験
-
ナレーター:
-
Richa Sayal
このコンテンツについて
Kahaniyon ka yah sangrah, vibhinn prakar ki naari bhavnaon ko vyakt karta hai. Kayi anubhav samete hue, yah sankalan badalte rishton par roshni daalta hai. Kahaniyon mein rahasya hai, romanch hai, jeevan ke alag alag mod se guzarte kirdaar hain jo padhne-wale ko apni duniya mein aamantrit karte hain.
Gaon mein Munne ki ma aur shahar ki Mrs Mehta ko apne bachhe se bohot lagav hai. Munne ki ma kisi bhi haalat mein apne bachhe se juda nahi hona chahti, aur Mrs Mehta apne pote ko paalna hi apna pratham kartavya maanti hain. Doosri ore, college mein shaant rehne-wali Mini ne sanyas le kar Haridwar mein Meera Didi ka avatar le liya. Gaon mein rehne-wali Manju ne bhai ki parvarish me sab kuchh gava diya, lekin shahar aur gaon ki doori uska bhai tay karega? Kuchh alag tarah ki dooriyaan Devika aur Anay ke beech bhi aa chuki hain. Kayi saal baad jab yah college ke dost milte hain toh kya vah apne hriday ki baat ek doosre se keh paenge? Aisi hi hichkichahat aur chuppi, shaadi ke naye rishte mein jude dampati Amit aur Deepti ke beech bhi hai. Chuppi na tod paane par, Deeksha ne aatmahatya ka kadam uthaya lekin ek kavita mein sab kuchh keh gayi, jo case ko suljhaate Inspector ki bhaavnaon ko uljha deti hai.
Dil ko chhooti yah kahaniyaan, kahi aur unkahi baaton ko sookshmata se shabdon mein saamne laati hain. Kisi kirdaar ki zindagi mein, kisi anubhav mein ya anubhuti mein, padhne-wale khud ko zaroor paenge.
Please note: This audiobook is in Hindi.
©2018 Dr. Rashmi Kaushal 2018 (P)2020 Audible, Inc.