エピソード

  • Episode 1: Sikandar Aur Puru
    2022/11/15
    Sikandar ne Bharatvarsh aane ke liye 327 BC mein apni badi sena ke sath taiyari ki. Sikandar ke hamle se bachne aur raja Puru se dushmani ke karan Takshshila ke raja Ambhi ne aatm samarpan kar diya. Phir Sikandar ka yuddh Puru vansh ke raja Puru se Jhelam nadi ke kinare hua. Raja Puru se yudh mein Sikandar ki sena ko badi haani pahunchi thi. Sikandar ko apni sena ke vidroh ke chalte vapas lautna pada.
    続きを読む 一部表示
    21 分
  • Episode 2: Maurya Saamrajya
    2022/11/15
    321 B. C. Chandra Gupta Maurya ne Guru Chanakya ki madad se ek badi sena banayi aur uss sena ke bal pe Dhananand ke samrajya ko chunauti di aur use parajit karke Maurya Rajvansh ki sthapana ki. 305 B.C. purv jab Selucas Niketar ne Sikandar ki mrityu ke baad, Bharat par chadai ki to unka yuddh Chandra Gupta Maurya se hua. Jisme Selucas ki haar hui. Yuddha sandhi mein Maurya Rajvansh ko kai prant mile. Selucas ne apni putri Helen ka vivah Chandra Gupta se karwaya.
    続きを読む 一部表示
    19 分
  • Episode 3: Kaling Yuddh
    2022/11/15
    261 B.C. mein ek baar Samrat Ashok Kalinga vijay ke sapne ko sakar karne aur apna vyaparik kshetra badhane ke liye Kalinga rajya ko aatm samarpan karne ka Sandesh bhejte hain. Parantu kalinga rajya unke saamne jhukne se inkar kar deta hai jiske parinaam swaroop Kaling raja Padmanabha se yuddh hota hai. Uss yuddh ke baad samraat Ashok ka hriday parivartan ho jata hai.
    続きを読む 一部表示
    18 分
  • Episode 4: Hiuen Tsang Ki Bharat Yatra
    2022/11/15
    A.D. 606 mein uttar aur pashchimi Bharat ke raja Harshavardhan ko dharm, sanskriti, kala aur lekhan mein bahut ruchi thi. Jab raja Harshavardhan ko pata chala ki bahari desh China se Ven Sang namak ek lekhak aur visheshagya Bharat aayen hain to unhein apne rajya bulaya aur unka aadar aur samman kiya. Ven Sang Bharat mein rehkar 15 saal Adhyayan ke baad wapis China gaye aur unhone Bharat ke baare me kitab likhi jiska naam tha ‘Si-yu-ki’(Pashchimo ki duniya)
    続きを読む 一部表示
    18 分
  • Episode 5: Gauri Ka Aakraman
    2022/11/15
    1173 A.D. mein Ghor samrajya mein Gazani rajya ka shasak banane ke baad Mohammad Gori ko apne samrajya ko badhane ka vichar aaya. Tabhi uski nazar Bharat par padi. Usne 1 lakh 20 hazar ki sena ke sath 1175 A.D. mein Multan ko apne adhin kar liya. 1178 AD mein Md Gori ka Solanki Rajpoot Maharani Nayika Devi se Saamna hua aur Md Gori ko haarkar apne desh lautna pada.
    続きを読む 一部表示
    16 分
  • Episode 6: Terrain Yuddh
    2022/11/15
    Mohammad Gori dusri baar 1192 C.E. mein jab Bharat par hamala karne aaya tab Samrat Prithviraj Chauhan ne usase yuddh kiya aur iss baar Samrat Prithviraj Chauhan ko haar ka saamna karna pada. Yuddh ke baad Prithviraj Chauhan ji aur Chandra Bardai ji ko Mohammad Gori ne bandi bana liya aur apne saath Ghurid desh le gya. Tamaam yaatna pratadna ke baawajud bhi andhe Prithviraj Chauhan ne shabd bhedi baan ki pareeksha ka laabh uthaakar Mohammad Gori ko maut ke ghat utaar diya.
    続きを読む 一部表示
    18 分
  • Episode 7: Vasco Da Gama
    2022/11/15
    Vasco da Gama July 1497 ko khoji bhaarat abhiyan ke liye Lisbon se apne saathi aur 4 ships ke sath nikale. 20 May 1498 mein Calicut pahunche, Raja Samudiri se milne ke baad Vasco di Gama India ke sath vyapar karne ka prastav rakha. Par yahan ke muslims vyapariyon ke dwara unka virodh kiya gaya aur unhein India se vapas lautna pada. Baad mein wo phir India aaye aur apna vyapar yahan failaya, jiske liye Vasco di Gama ko Portugal samrajya dwara Governer of India bana diya gaya aur unhein viceroy ki upadhi di gayi.
    続きを読む 一部表示
    20 分
  • Episode 8: Fasli Yug
    2022/11/15
    Jab Mughal samrajya ke shasak Akbar ne zameen aaykar ka sarvekshan karavaya to unhein usmein bahut galtiyan mili jiska ek maatra kaaran tha, sahi calendar na hona. Isi ke chalte Akbar ne apne mantriyon se charcha kar naya calendar banane ka vichar kiya. Jiske liye Akbar ne Islamic mazhab ke tithi visheshagya samet Hindu Dharma ke tithi visheshagya se bhi baat cheet ki aur ek naye calendar ka nirman karaya. Jiska naam tha FASLI ERA ya FASLI CALENDAR.
    続きを読む 一部表示
    18 分