プレビューの再生

Audible会員プラン 無料体験

会員は、20万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます

Crime Stories by Delhi Press, Season 12

著者: Delhi Press
ナレーター: Rishi Gambhir
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
エピソード
  • मेजर का खूनी इश्क : शादीशुदा के पीछे पड़ा एक मेजर
    2022/07/21
    Major Amit Dwivedi ki posting Dilli mein huyi thi. Ek din uski patni apna ilaaj karwaane ghar se nikli lekin laut kar nahin aayi. Usne police mein report likhwaayi aur pata chala ki kisi mahila ki kuchli huyi laash Naraina ilaake mein mili thi. Vah laash uski patni ki hi thi. Police ne uske phone record se pata lagaaya ki vah Major Nikhil Handa se kaafi baatein karti thi. Unke beech kya rishta tha aur iss maut se uska kya sambandh tha?
    続きを読む 一部表示
    39 分
  • ममता, मजहब और माशूक
    2022/07/21
    Chitrakoot mein ek pahadi ke neeche kuchh logon ko khambe se latki huyi ek 11-12 saal ki ladki ki laash mili. Police ne laash ko utaara aur tehkikaat shuru ki. CCTV footage se pata chala ki uss ladki ko ek aadmi aur aurat ke saath dekha gaya tha, ek hospital mein. Wahan se unn dono ka pata mila. Vah Fatehpur ke Vijay aur uski patni Aarti the aur police ko unn par shaq hua. Unka iss haadse se kya lena-dena tha? Vah uss ladki ko kaise jaante the?
    続きを読む 一部表示
    19 分
  • मर्यादा की हद से आगे
    2022/07/21
    Ek industrial area ke ek park mein kisi yuvak ki laash mili. Hatya kisi nukeeli cheez se huyi thi aur wahan sharaab ki khaali bottle bhi padi mili. Kayi dinon tak police uski pehchaan nahin kar paayi. Phir ek din Jagat Pal naam ka ek aadmi thane aaya aur usne bataaya ki uska chhota bhai Pawan do hafte se ghar nahin lauta tha. Vah laash Pawan ki hi thi. Bhai ne police ko Pawan ke ek dost ke baare mein bataaya jiska naam Kallu tha. Kya vah iss hatya mein shaamil tha?
    続きを読む 一部表示
    34 分

Crime Stories by Delhi Press, Season 12に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。