エピソード

  • Chidiyaghar

    Chidiyaghar

    Piya Milan Chawk, Episode 1
    2019/12/11

    Chidiyaghar:
    Woh pehla pyaar, thoda roothna aur phir bechain rehna aur phir manaane ke bahaane dhoondna, usse bhi upar gharwaalon ka darr, aise mein premi joda mile toh kahan mile? Kya aapne kabhi socha hai ki chidiyaghar bhi Piya Milan Chowk ho sakta hai? Ji haan, jab naya-naya premi joda ghar waalon aur mohalle waalon ki nazaron se bachkar fursat ke do pal chahta ho, toh koi bhi shaant jagah achchaa sa Piya Milan Chowk ban sakta hai, chahe fir wo sher ke pinjare ke saamne waali puraani bench hi kyun na ho?

    続きを読む 一部表示
    22 分
  • Yadav Coaching Center

    Yadav Coaching Center

    Piya Milan Chawk, Episode 2
    2019/12/11

    Yadav Coaching Centre:

    Waise toh Gyaarahvin-barahvin class mein coaching center kewal entrance exams ki taiyaari ke liye hi jaate hain par kismat ka kya bharosa, wo aapke dil ka connection kab kiske dil se jod de… ya fir kisi aise dost se mila de jo zindagi bhar yaad reh jaye. Arre bhai teachers ki paini nazron ke beech ishq farmaana kam jokhim bhara nahin hota, par ye umr hi aisi hoti hai jismein har baat dil par le li jaati hai aur premi duniya mein sabse ladne ko taiyaar ho jaate hain. Aise hi coaching centre kab Piya Milan Chowk bann jaata hai pata nahi chalta. Kya aapki prem kahani ek coaching centre ke ird-gird ghatit hui hai? Suniye aur jaaniye.

    続きを読む 一部表示
    22 分
  • Jai Mata Di

    Jai Mata Di

    Piya Milan Chawk, Episode 3
    2019/12/11

    Jai Mata Di:

    Ek ladka aur ek ladki ki dosti ko duniya-waale kyun galat nazar se dekhte hain? Kyun unhein yeh baat samajh nahin aati ki dono ke beech sirf “dosti” wala pyaar bhi ho sakta hai. Wo ek doosre ka khayal sirf dost rehkar bhi rakh sakte hain? Aur dosti jab do aise logon ke beech ho jaaye jinke pita ek doosre ko phooti aankh na bhaatein hon toh aur bhi mushkil ho jaati hai. Kya kabhi woh din aayega jab yeh soch badlegi? Kya kabhi parents ko apni galti ka ehsaas ho payega ya fir ek aur dosti iss galatfehmi ki bali chadd jaayegi? Jaanne ke liye suniye Piya Milan Chowk par ‘Jai Mata Di’.

    続きを読む 一部表示
    21 分
  • Priya Wali Chai

    Priya Wali Chai

    Piya Milan Chawk, Episode 4
    2019/12/11

    Priya Wali Chai:

    Corporate office ke logon ke liye ‘tapri’ shabd naya nahin hai, arrey bhai log apni thakan mitaane, apne colleagues, boss ya doosre topics par gossip karke fresh hone inhi tapriyon par toh aate hain. Koi chai peene, toh koi sutta lagaane. Shayad corporate office ke logon ko kaam ke pressure ke beech pyaar-vyaar ke baare mein sochne ki fursat bhi nahin milti. Par pyaar toh pyaar hai janab woh toh kabhi bhi aur kahin bhi ho jaata hai. Aur kabhi kabar office ke bahar ki inn hi ‘tapriyon’ par do dil mil jaate hain aur aise hi yeh ‘tapriyan’ ban jaati hain chhota sa Piya Milan Chowk. Kya ye aapki kahani hai? Suniye aur jaaniye.

    続きを読む 一部表示
    20 分
  • Chai Biscuit

    Chai Biscuit

    Piya Milan Chawk, Episode 5
    2019/12/11

    Chai Biscuit:

    Humare desh mein har pal kayi dil milte hain aur kai bichhad jaate hain. Safar ke dauraan toh aksar hi chai ki chuskiyon ke saath jodiyaan ban jaati hain toh kabhi bante-bante unki train hi chhoot jaati hai. Par zindagi bhar ke liye woh kuchh lamhe humaari yaadon mein jagah bana lete hain. Toh kya iss kahani mein baat banti hai ya reh jaati hai, jaanne ke liye suniye Piya Milan Chowk par Chai Biscuit.

    続きを読む 一部表示
    20 分
  • Nagin Dance/Shaadi Mubarak

    Nagin Dance/Shaadi Mubarak

    Piya Milan Chawk, Episode 6
    2019/12/11

    Naagin Dance/Shaadi Mubarak:

    Humaare yahan ki shadiyan kisi film se kam nahin hotin. Inmein hero, heroin, comedian, dancer, singers sabhi mil jaate hain. Waise toh kehte hain jodiyan uparwaala banata hai par humare Hindustan mein ye kaam shaadiyan bhi bakhoobi nibhati hain. Devar aur saaliyon ke beech ki nok-jhok kab pyar mein badal jaaye, ye kehna thoda mushkil hai. Waise humare yahan ki shaadiyan toh sabse badiya Piya Milan Chowk hoti hain. Inmein kai jodiyan ban jaati hain toh kuchh bante-bante reh jaati hain. Kya ye kahani aapki jaani pehchaani hai? Suniye aur jaaniye.

    続きを読む 一部表示
    20 分
  • Patangbazi

    Patangbazi

    Piya Milan Chawk, Episode 7
    2019/12/11

    Patangbaazi:

    Uttar Bharat mein Makar Sankranti ke tyohar ki kaafi dhoom rehti hai. Is din log patangbaazi bhi karte hain. Patangbaazi kewal shauk ke liye hi nahin ki jaati balki kai logon ya yun kahein kai mohallon ke beech muqable bhi rakhe jate hain. Patangein udaate-udaate chhaton ki dooriyan mit jaati hain. ‘Kanne’ dete-dete do dil kab mil jaate hain pata hi nahin chalta. Ishaaron-isharon mein bahut si prem kahaniyan bhi us neele aasman mein hawa ke jhonkon ke saath udne lagti hain, bilkul patang ki tarha. Ye patange jaan-pehachaan badhaane ka bahut achchha madhyam ban jaati hain aur jaane-anjaane mein bann jati hai Piya Milan Chowk. Suniye aur kho jaayiyay 'old school romance' mein.

    続きを読む 一部表示
    21 分
  • Cutting Chai

    Cutting Chai

    Piya Milan Chawk, Episode 8
    2019/12/18

    Cutting Chai:
    Humaare desh mein baat aage badhaane ke liye chai se achchha madhyam shayad hi koi ho. Railway stations aur wahan aas-paas mein tamaam chai ki tapriyan, yahan aksar hi nayi dosti ki shuruat hoti hai. Safar ke dawraan log ek doosre ke kareeb aa jaate hain par kai baar ye rishte kewal safar tak hee tik paate hain aur kuch lambe samay tak saath nibhaate hain. Aur kai baar kuchh hi ghanton mein apne uss sapne ko poora kar lete hain jiski chah na jaane kab se unke man mein hoti hai. Kya is kahani ke Priya aur Kabir apne sapne sach kar paayeingay? Suniye Cutting Chai.

    続きを読む 一部表示
    19 分