• Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2

  • 著者: Delhi Press
  • ナレーター: Pallavi Bharti
  • ポッドキャスト

Amazonプライム会員限定

3か月無料

聴き放題対象外タイトルです。Audible会員登録で、非会員価格の30%OFFで購入できます。
2024年7月22日までAmazonプライム会員限定で3か月無料体験キャンペーン開催中(プライム会員以外の方は30日間無料)。詳細はこちら
会員は12万以上の対象作品が聴き放題、アプリならオフライン再生可能。
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数。プロの声優や俳優の朗読も楽しめます。
無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。
『Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2』のカバーアート

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2

著者: Delhi Press
ナレーター: Pallavi Bharti
¥0で会員登録し購入

無料体験終了後は月額1,500円。いつでも退会できます

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein - junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示
エピソード
  • हमेशा की तरह
    2022/05/12
    Gulshan ek karkhane ka prabandh nirdeshak tha. Uska jeevan hamesha tanaav se bhara rehta tha. Subah vah jaldi-se nashta karke ghar se nikal gaya, uski patni Suman dekhti reh gayi. Dopahar ko Gulshan ne Suman ko phone kiya, use yaad aa gaya tha ki uski behen Mikki ka janmdin hai. Gulshan yah bhool gaya tha ki uski behen aur patni, dono ka janmdin ek hi din hota hai. Hamesha ki tarah uske bhool jaane par Suman hans padi.
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • थोड़ी सी बेवफाई
    2022/05/12
    Atul ke whatsapp par anjana message aaya toh vah hairaan ho gaya. Ek Kalpana naam ki yuvti se uski baatcheet shuru ho gayi. Uski patni Sadhna ko shak hone laga lekin Atul Kalpana ke baare mein aur jaanna chaahta tha. Kalpana ne milne ko kaha toh Atul pareshaan ho gaya, vah Sadhna ke saath bewafaai nahin karna chaahta tha. Vah akele morning walk par nikal gaya aur sochne laga ki kya kare. Sadhna uske kareeb aayi aur yah raaz bataya ki aakhir vah hi Kalpana hai.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • वापसी-तृप्ती अमित के पास वापस क्यों लौट आई?
    2022/05/12
    Amit aur Seema pati-patni the. Pati se jhagda hone par Seema mayike chali gayi thi. Ek shaam vah apni Saheli ke saath shaadi mein gayi aur wahan Vikas ne uske saath zabardasti karne ki koshish ki. Seema bach kar nikal aayi lekin use apne pati ki yaad aane lagi. Vah pati ke paas wapas laut gayi aur use apni galti ka ehsaas hua. Vah samajh gayi ki pyar aur vishwas se hi rishta mazboot hota hai.
    続きを読む 一部表示
    12 分

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein - junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 2に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。