プレビューの再生

Audible会員プラン 無料体験

会員は、20万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 17

著者: Delhi Press
ナレーター: Kumud Soney, June Banerjee
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
エピソード
  • पतिया सास- आखिर क्यों पति कपिल से परेशान थी उसकी पत्नी?
    2022/08/18
    Kavita apne pati Kapil ko bohot prem karti thi aur uska khayal rakhti thi. Uske ghar mein saas-sasur nahin the. Kapil jab teen saal ka tha toh uske mata-pita ki mrityu ho gayi thi. Vah apne mama-mami ke saath reh kar bada hua tha. Vah har cheez saaf aur theek se rakhta tha. Ghar ki koi bhi cheez idhar se udhar ho jaaye toh vah tokne lagta tha. Kavita ko aksar lagta tha ki vah uska pati nahin balki saas hi hai.
    続きを読む 一部表示
    9 分
  • सर्वस्व- क्या मां के जीवन में खुशियां ला पाई शिखा ?
    2022/08/18
    Shikha shaadi ke baad rasam ke liye apne mayike aayi jo uske nana ka ghar tha. Uske pita ke dehant ke baad uske parivaar ne insurance ka paisa hadap kar uski ma ko apne ghar mein naukrani bana diya tha aur tab Shikha aur nana uski ma ko apne ghar le aaye the. Wahan Shikha ke mama rehte the aur Shikha ki parvarish wahan huyi. Nana ki mrityu ke baad unn dono ka jeevan mushkil ho gaya tha. Kya vah apni zindagi apni sharton par jee sakenge?
    続きを読む 一部表示
    18 分
  • सौतन
    2022/08/18
    Sanjeev ek daftar mein clerk ki naukri karta tha aur ek maamuli parivaar se tha. Uski patni Bharti bhi sadharan parivaar se thi. Unki beti Chandni 10 saal ki thi aur use padhaane ke liye unhone angrezi medium school mein dakhila dilwaaya. Usi colony mein Mr. Bansal puraane makaan khareed kar nayi society banaane ka kaam karte the. Unki nazar Sanjeev ke ghar par thi. Kya Sanjeev aur Bharti unse sauda kar lenge ya phir apne ghar ko bachaane ki koshish karenge?
    続きを読む 一部表示
    40 分

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 17に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。