エピソード

  • पतिया सास- आखिर क्यों पति कपिल से परेशान थी उसकी पत्नी?
    2022/08/18
    Kavita apne pati Kapil ko bohot prem karti thi aur uska khayal rakhti thi. Uske ghar mein saas-sasur nahin the. Kapil jab teen saal ka tha toh uske mata-pita ki mrityu ho gayi thi. Vah apne mama-mami ke saath reh kar bada hua tha. Vah har cheez saaf aur theek se rakhta tha. Ghar ki koi bhi cheez idhar se udhar ho jaaye toh vah tokne lagta tha. Kavita ko aksar lagta tha ki vah uska pati nahin balki saas hi hai.
    続きを読む 一部表示
    9 分
  • सर्वस्व- क्या मां के जीवन में खुशियां ला पाई शिखा ?
    2022/08/18
    Shikha shaadi ke baad rasam ke liye apne mayike aayi jo uske nana ka ghar tha. Uske pita ke dehant ke baad uske parivaar ne insurance ka paisa hadap kar uski ma ko apne ghar mein naukrani bana diya tha aur tab Shikha aur nana uski ma ko apne ghar le aaye the. Wahan Shikha ke mama rehte the aur Shikha ki parvarish wahan huyi. Nana ki mrityu ke baad unn dono ka jeevan mushkil ho gaya tha. Kya vah apni zindagi apni sharton par jee sakenge?
    続きを読む 一部表示
    18 分
  • सौतन
    2022/08/18
    Sanjeev ek daftar mein clerk ki naukri karta tha aur ek maamuli parivaar se tha. Uski patni Bharti bhi sadharan parivaar se thi. Unki beti Chandni 10 saal ki thi aur use padhaane ke liye unhone angrezi medium school mein dakhila dilwaaya. Usi colony mein Mr. Bansal puraane makaan khareed kar nayi society banaane ka kaam karte the. Unki nazar Sanjeev ke ghar par thi. Kya Sanjeev aur Bharti unse sauda kar lenge ya phir apne ghar ko bachaane ki koshish karenge?
    続きを読む 一部表示
    40 分
  • सरप्राइज- भाई-बहनों का जीवन संवारने वाली सीमा क्या खुद खुश रह पाई?
    2022/08/18
    Seema ke pita ki maut achanak ek haadse mein ho gayi thi. Pita ke baad apne chhote bhai-behenon ka jeevan use hi sambhaalna tha. Usne mehnat karke apne dono bhaiyon ko achchi naukri dilwaayi aur unn dono ne shaadi bhi kar li. Ab Seema 32 saal ki ho chuki thi aur vah zindagi mein bohot akela mehsoos kar rahi thi. Uska janamdin tha aur ghar mein kisi ne use badhai nahin di. Kya uska parivaar uske balidaan ko samajh paaega?
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • दागी कंगन- प्रकाश ने कौन सी बात सभी से छुपा रखी थी?
    2022/08/18
    Nihaal jab kothe par gaya toh use Munni nazar aayi jiska asli naam Menaka tha. Vah kothe par kaise pohonchi usne Nihaal ko bataaya. Vah Prakash ke saath ghar se bhaagi thi lekin usne Menaka ko kothe par bech diya tha. Uske saath bada dhokha hua tha aur ab uske paas aur koi raasta nahin tha. Uski yeh kahaani sun kar kya Nihaal ka dil pighal jaaega? Kya Menaka ke paas koi aur sahara hai? Kya Nihaal uska dukh-dard samajh sakega?
    続きを読む 一部表示
    14 分
  • किराएदार
    2022/08/18
    Vishwanath apne ghar mein naukar Madan ke saath rehte the. Unki umr 80 saal thi. Vah naukar ko 100 rupaye mahina dete the. Madan ki umr bhi 60 saal ho chuki thi. Vishawanth ko paise ki hamesha chinta rehti thi. Paise kharch hone ke darr se unhone shaadi bhi nahin ki thi. Unhone padosiyon se bhi rishta nahin rakha tha kyunki chai-cheeni par paise kharch karne padte. Ek din ek yuva couple unse upar ke kamre kiraaye par maangne aaye. Isse unki zindagi kis tarah badal jaaegi?
    続きを読む 一部表示
    36 分
  • कुकरिया: क्या बेजुबानों से सबक ले पाए मानव?
    2022/08/18
    Ek parivaar naya ghar banwa raha tha. Wahan Guman Singh aur Rano chaukidaari karte the aur mazdoori bhi karte the. Unke teen chhote bachche aur ek kutiya thi. Vah use Kukariya keh kar bulaate the. Parivaar ke ghar mein bhi ek puppy thi jiska naam tha Payal. Shuru mein Payal aksar Kukariya ko dekh kar use bhagaa deti aur vah Guman Singh ki jhopdi mein chhup jaati. Lekin dheere-dheere dono mein dosti ho gayi. Kya jaanwaron ki soch aur unke rishte bhi kayi baar insaan jaise hi hote hain?
    続きを読む 一部表示
    24 分
  • भूल का अंत- जब बहन के कारण खतरे में पड़ी मीता की शादीशुदा जिंदगी
    2022/08/18
    Meeta aur Nitya sagi behenein thi. Nitya ne apni jaati ke bahar shaadi kar li thi aur vah bhaag gayi thi. Iss shaadi ko uske parivaar ne kabhi sweekar nahin kiya. Baat police tak pohonch gayi thi. Iss beech Nitya ka pati ek sadak durghatna main zakhmi ho gaya. Hospital pohonchne se pehle hi uski maut ho gayi. Nitya ka jeevan shuru hone se pehle hi khatam ho gaya. Kya uska parivaar use sahara dega? Kya Meeta apni grihasti basaaegi?
    続きを読む 一部表示
    13 分